Hazrat Ali Quotes (part 2)
51. Azaadi ki hifazat na karne wala ghulami me giraftar ho jata hai.
52. Hazrat Mohammad (pbuh) se 10 moharram ke roze ke baare me sawal kiya gaya?To aap (pbuh)
ne farmaya: "Yeh guzishta saal ke gunahon ka kaffara ban jata ha aur agar main ainda saal tak zinda raha to 9 moharram ka bhi roza zaroor
rakhunga".
ne farmaya: "Yeh guzishta saal ke gunahon ka kaffara ban jata ha aur agar main ainda saal tak zinda raha to 9 moharram ka bhi roza zaroor
rakhunga".
53. Jab insaan naarazgi khatam karne me pehl karta hai? To iska yeh matlab nahi ki wo ghalat tha, iska matlab hai ki use aan se zyada rishta aziz hai.
54. Aye insan agar tujhe yeh maloom ho jaye ki sajde ke dauran tujh par kitnirehmatein nazil hoti hai? To tu kabhi sajde se sar uthayega hi nahi.
55. Yeh duniya kitni ajeeb hai imaandar ko bewaqoof, be-imaan ko aqalmand, aur behaya ko khoobsurat kehti hai.
56. Agar tumhe ek doosre ki niyyaton ka pata chal jaye, to tum ek doosre ko dafnana hi chhod doge.
57. Mujhe wo dost pasand hai jo mehfil me meri ghalatiyan chupaye or tanhai me meri ghalatiyon par
tanqeed kare.
tanqeed kare.
58. Dost ki koi baat buri lage to khamosh hojao. Agar wo dost hai to use us baat ka ranj hoga. Aur agar na hua to tum samjh lena ki wo tumhara dost nahi.
59. Khaas aur aam dost me itna hi farq hota hai:
Aam dost sirf tareef karta hai. Lekin khaas dost tareef ke saath-saath tanqeed bhi karta hai.
59. Khaas aur aam dost me itna hi farq hota hai:
Aam dost sirf tareef karta hai. Lekin khaas dost tareef ke saath-saath tanqeed bhi karta hai.
60. Jhoothe ki sabse badi saza yeh hai ki uske sach ka bhi Aitbaar koi nahi karte.
61. Kisi ko paane ki Tamanna mat karo, Balki is qabil hojao log aapko paane ki tamanna kare.
62. Tanhai me gunaah se bacho, kyunki iska gawah khud Allah'taala hota hai.
63. Log tumhari aqal se tumhari shaksiyat ka wazan karte hai. Lehaaza tum apni aqal ka wazan ilm se badhao.
64. Tumhara nafs bohot keemti hai. Ise jannat se kam kisi keemat pe mat bechna.
65. Apna behatreen waqt namaz ke liye muqarrar kar do, kyunki tumhare sab kaam tumhari namaz ke
baa'is qubool honge.
baa'is qubool honge.
66. Insaan ka kirdaar uski zaban ke neeche dafan hota hai.Agar kisi shakhs ke kirdaar ka pata lagana
ho? To use sakht gusse ki haalat me dekho.
ho? To use sakht gusse ki haalat me dekho.
67. Duniya me kabhi kisi acche insaan ko talaash mat karo, balki khud acche ban jao. Ho sakta hai ki
tumhare is amal se kisi aur ki talaash khatam ho jaye?
tumhare is amal se kisi aur ki talaash khatam ho jaye?
68. Jis tarah shabnam ke qatre murjhaye hue phool ko taazgi dete hai, usi tarah acche alfaz mayus
dilon me roshni bharte hai.
dilon me roshni bharte hai.
69. 5 Cheezon ki 5 jagah par hifazat karo:
1-Mehfil me zaban ki.
2-Bazar me aankh ki.
3-Namaz me dil ki.
4-Dastarkhan par pet ki.
5-Nigah me haya ki.
1-Mehfil me zaban ki.
2-Bazar me aankh ki.
3-Namaz me dil ki.
4-Dastarkhan par pet ki.
5-Nigah me haya ki.
70. Jahan sadqat aur khuloos nazar aaye? Wahan dosti ka haath badhao. Warna tumhari tanhai
tumhari behtareen saathi hai.
tumhari behtareen saathi hai.
71. Yeh zindagi do din ki hai: Ek din tumhare haq me aur ek din tumhare khilaf.Jis din tumhare haq me ho us din ghuroor mat karna aur jis din tumhare khilaf ho us din sabr karna.
72. Lambi umeedon se parhez kiya karo, kyunki yeh doosri nematon ko tumhari nazar me chota bana deti hai aur tum unki shukr guzari nahi karte.
73. Sabr ki do surtein hai. (Jo na-pasand ho use bardasht karna aur jo pasand ho uska intezar karna)
74. Dosti ki zeenath ek doosre ki baat ko bardasht karna hai. Be-aib dost talaash mat karo warna akele
reh jaoge.
reh jaoge.
75. Hazrat Ali (r.a) ne farmaya ki: "Main poori zindagi me sirf ek raat sukoon se soya hoon".Poocha gaya "Wo kaunsi"?
Hazrat Ali (r.a) ne farmaya: "Jis din Hazrat Mohammed ne farmaya ki Aye Ali! kal tumhe maal-e-ghanimat taqseem kar ke aana hai. Kyunki sirf us raat mujhe yaqeen tha ki main subha zinda uthunga"
*Subhan'Allah*
Hazrat Ali (r.a) ne farmaya: "Jis din Hazrat Mohammed ne farmaya ki Aye Ali! kal tumhe maal-e-ghanimat taqseem kar ke aana hai. Kyunki sirf us raat mujhe yaqeen tha ki main subha zinda uthunga"
*Subhan'Allah*
76. Zindagi ko zaruriyat ki taraf le jao khwahishat ki taraf nahi. Kyunki zaruriyat to faqeeron ki bhi poori
hoti jati hai aur khwahishat Baadshahon ki bhi adhoori reh jati hai.
hoti jati hai aur khwahishat Baadshahon ki bhi adhoori reh jati hai.
77. Log pyaar ke liye hote hai aur cheezein istemaal ke liye. Baat us waqt bigadti hai jab cheezon se
pyaar aur logon ko istmaal kiya jaye.
pyaar aur logon ko istmaal kiya jaye.
78. Na insaan apni marzi se paida hua aur na apni marzi se marega. Phir wo inke beech ka arsa apni
marzi se kyun guzarna chahta hai?
marzi se kyun guzarna chahta hai?
79. Jis darakht ki lakdi narm hogi, uski shakhein zyada hogi. Narm tabiyat ikhtiyar karo taaki tumare
dost zyada ho.
dost zyada ho.
80. Aqlaaq ki keemat kuch nahi deni padti hai. Magar us se har cheez khareedi ja sakti hai.
81. Jab insaan ki aqal mukammal ho jati hai, to uski guftagu mukhtasar ho jati hai.
82. Agar koi accha lage to us se kam mila karo, agar koi zyada accha lage to us se sirf dekha karo aur agar koi dil me utar jaye to use sirf yaad kiya karo.
83. Acche logon ki ek ya nishani bhi hai ki unko yaad rakhna nahi padta wo yaad reh jate hai.
84. Tum kala libaas mat pehna karo, Kyunki beshak yeh firon ka libaas hai.
85. Rizq ke peeche apna imaan kharab mat karo. Kyunki naseeb ka rizq insaan ko aise talaash karta
hai jaise marne wale ko maut.
hai jaise marne wale ko maut.
86. Lakhon ko dost banana koi badi baat nahi, badi baat yeh hai ki aisa dost banao jo tumhara saath us
waqt de jab lakhon tumhare dushman ho.
waqt de jab lakhon tumhare dushman ho.
87. Aitbaar aur pyar do aise parindey hai? Agar in me se ek udd jaye to doosra khud hi udd jata hai.
88. Jis shaks me wafadari na ho? Uske saath dosti karne ka matlab khud ko zaleel karna hai.
89. ALLAH ke nazdeek sabse zyada gunahgar cheez jhoot bolne wali zaban hai.
90. Din ko rizq talaash karo aur raat ko use talaash karo jo tumhe rizq deta hai.
91. Jo apne aap ko mohtaaj banata hai wo hamesha mohtaaj hi rehta hai.
92. Insaan apni touheen maaf to kar sakta hai par bhool nahi sakta.
93. Tum accha karo aur zamana bura samjhe? Yeh tumhare haq me behtar hai bajaye iske tum bura karo aur zamana tum ko accha samjhe.
94. Tum gulaab ka phool ban jao, kyunki yeh phool uske haathon me bhi khushboo chhod jata hai jo ise
masal kar phenk deta hai.
masal kar phenk deta hai.
95. Apni kismat pe wo rota hai jo sajde me nahi rota.
96. Bura dost aag ki tarah hai, agar jalta hai to aapko bhi jala dega aur agar bujha hai to aapke haath kale kar dega.
97. Har kisi ko itni ehmiyat do jitni wo tumko deta hai. Agar kam doge ghamandi kehlaoge aur agar zyada doge khud gir jaoge.
98. Koshish karo ki tum duniya me raho, Duniya tum me na rahe. Kyunki kashti jab tak pani me rehti hai, khoob terti hai. Lekin jab pani kashti me aa jata hai to wo doob jati hai.
99. Jab bhi farig waqt mile to apni maa ke paas ja ke baitha karo, kyunki maa ke saath guzara hua
waqt qayamat ke din nijat ka baa'is banega.
waqt qayamat ke din nijat ka baa'is banega.
100. Kisi ke khuloos aur pyar ko uski bewakoofi mat samjho, warna kisi din tum khuloos aur pyar talaash karoge aur log tumhe bewakoof samjhenge.
Comments
Post a Comment